Manqabat

Ali ke ghar ki taraf he najar jamane ki
Khabar jo paayi he moula hasan ke aane ke

Murid ho gayi shabbar ki zulfikare Ali 
Adaye dekhi he jab se kalam chalane ki

Abhi me jashne imame hasan me aaya hu
Ay mout jaa abhi fursat nahi he aane ki

*****

Hum madd'h-e-Ali me dar pe bhi lafzo ko ravani dete he
Kat ti he zuba kat jaye magar paygame jubani dete he

Shahid he adaye misum ki hum he who Ali ke divane
Jis ped pe suli chadna ho us ped ko pani dete he

Katil ko pilaya haider ne lashkar ko pilaya sarwar ne
Ye aise gharane vale he dushman ko bhi pani dete he

Abbas ki turbat ke karib pani ne thaher kar batalaya
Me baheta hu Abbas muje jab izne ravani dete he.






No comments:

Post a Comment

ALI(a.s.) Ke Nokar

Baat karne ke liye jab bhi zabane khole Apne qirdaar ko meezan e amal par tole Laakh hum khud ko ghulam e dare haidar bole Baat jab hai ...