Baat karne ke liye jab bhi zabane khole
Apne qirdaar ko meezan e amal par tole
Laakh hum khud ko ghulam e dare haidar bole
Baat jab hai ke hume dekh ke bole haidar
Aise hote he ali ke naukar
Maslehat, jhooth, riyakari, siyasat, dhoka
Khudnumayi bhi dikhawa bhi sare farshe azaa
Aur fir hubbe ali ka bhi takallum dawaa
K ya bataenge agar puchle maula aakar
Aise hote he ali ke naukar