Monday, 20 February 2017

Sher-o-Shayri

koi salaman,koi mesum koi abuzare nikle
jo bhi nikle woh muqqadar ke siqqndar nikale

woh jo asgar ke liye mang raha he paani
marde khaak pe thokar to smaddar nikale

maal islaam ne bata to hazaro moujood
khoon islaam ne manga to bahattar nikale

****
ulfat ke waste ho, ke azamat ke waste
ya fir ahel-e-deen ki khas ibadat ke waste
hum to yahi smajte he ay ali murtaja
qa'aba bana tha teri wiladat ke waste

****
aankhe karagi sjda barabar hussain ka
dekhegi jab bhi naam jaha par hussain ka

batil to chahta hai mitade khuda ka naam
baita hua hai dil me magar dar hussain ka

suraj ki roshni bhi jaha tak na ja saki
hota hai ziqr ab bhi waha par hussain ka 

nou lakh ki sipaah ho ya sou lakh ki sipaah
bhari he sab pe nanna sa asgar hussain ka

aal-e-nabi ke ghar ko jala ne ki hai saja
dushman jo firta raheta hai dar dar hussain ka 

****
dushman-e-shabbir ko kaisi saja di jayegi
chhod rakhkha he khuda ne faisala abbas par

***
kirddar ek hur ka bhi he kayinaat me
jannat kharidi jis ne faqat ek rat me

***
abbas ke kadmo ko wafa chum rahi he
pahelu me shuja'at bhi khadi zum rahi he

haider ke ishare se palat aaya tha suraj
gazi ke ishaaro se zami gum rahi he

ja kar to koi ummar-e-shada ko batade
maidan me chhe maah ka ek veer ladega
abbas se ladna he to fouzo ko bada de
nou laakh ke lashkar se to beshir ladega

****
khalik ne mohammad ko risalat de di
aur sare rasulo par fazilat de di
kyu kar na gire boot qa'abe ke
aagosh-e-nabuwwat me imamat jo de di

***
islaam ke daman me is ke siwah kya he
ek zarb-e-yadullahi,ur ek sjda-e-shabbir

***
Ali(a.s.) ka laal he shabbir ka baradar he
he dushmano ke liye mout bhi qayamat bhi

Ali(a.s.) ko dekhlo to samjo khuda ko dekh liya
khuda si sifat bhi he aur khuda ki surat bhi

***
pukare yzeedi hatado pahere nahere se
are nazar aata he koi sani-e-haider chahere se

***
maa ne kabhi marhab ki ye marhab se kaha tha
tu khub bahadoor he magar us se na ladna
maidan me aajaye agar koi ye kahe kar
haider(a.s.) hu mai haider(a.s.)...

***
thak gaye lakho yazeedi zulm kar kar ke
magar na thaka ek hussain(a.s.) sabr kar kar ke

***
fanus ban kar jis ki hifazat hawa kare
woh shama kya buze jise roshan khuda kare

***
kahete he khuda ka koi maqaam nahi hai
Sach puchho to har nek dil khuda mqaam hai

***
mere moula ka martaba kitna azeem he
jo kisi ki bhi samj me nahi aa skta
kuch had tak salaman ki samj me aagaya to
salaman  kisi ki samaj me nahi aa skta

***
kur'aan aaya deen batane ke waste
hussain aaye deen bacha ne ke waste

***
bina subut shah-e-mashrken ban jaate
fatema zahera ke noor-e-ain ban jaate
na hoti shart jo sajde me sar katane ki
to is jamane me lakho hussain ban jaate

***
mustfa gadir me he murtaja gadir me
hum ko jitna chahiye tha mil gaya gadir me

kayinaat ke imaam he ali-e-murtaza
zuth sach ka ho chuka he faisala gadir me

gar ali nahi to fir rasul ka wazud kya
aisi baat kahe chuka he khud khuda gadir me

paak khoon jo bhi tha woh muskuraya tha waha
jo haramjada tha wahi jala gadir me

***
mera khuda jise auz-e-kamal deta he 
use batool ki chokhat pe dal deta he
parakh na ho jo kisi ko to ya hussain kaho 
ye naam woh he jo shajre khabhal deta he

***
hath aaye the kya kya gul-e-zahera ko fidayi
kis kis ne luta di rah-e-moula me kamayi
nou maao ne dekhi dar-e-khaima se ladayi 
aur nusrat-e-shabbir me himmat ye dikhayi
bachcho ko safar khalk se karte hue dekha
ladte hue,girte hue,marte hue dekha

*** 
ye khuda ka deen failaya abu-talib ka he
is liye haq deen par pahela abu-talib ka he

mustfa aur murtja he in ki godi ke pale
sochiye kitna bada rutba abu-talib ka he

jis mohammad par musalman ka bada imaan he
woh mohammad god ka pala abu-talib ka he

bus usi ke paas he islaam ki mojudgee
jo jaha me chahne wala abu-talib ka he                   

***  
shah-e-mardan,sher-e-yajdan,quwwat-e-parwardigar
la    fatah     illah   ali   la,      saif    illa    zulfiqaar

ke jis tarah koi khuda-e-paak se bad kar nahi
ke jis tarah koi rasulallah ka humsar nahi
ek he dunya me haider,dusara haider nahi
missl-e-haider ye kisi ki teg me zohar nahi
ek taraf sari khudayi,ek taraf haider ka waar

***
Laiyla kaha talash kare apne laal ko
jungal me mar dala he zahera ki aal ko

Shabbir(a.s.) la rahe he maidan se dekhiye
apne zayeef kandho pe aththara saal ko

***
Akhi me Shreeq-e-Jaan hai Zainab(s.a.)
Mazlum-e-Karbala ki Shaan hai Zainab(s.a.)
Maqsad-e-Shabbir(a.s.) ka Ailaan hai Zainab(s.a.)
Darbaar-e-shaam ko hilaaya naam hai Zainab(s.a.)
Khutwe yu Ali(a.s.) ban ke diye qalaam hai Zainab(s.a.)
Ziqr-e-Hussain(a.s.) Aabaad kiya salaam hai Zainab(s.a.)

***
Bagair Naam-e-Ali jo Azaan deta hai
Khuda ke Ghar woh Adhura Bayaan deta hai

Ali ke Haq ko chhupaoge kis tarha ay Logo
Ali ke Haq ki Gawahi Qur'aan deta hai

***
Fasl-e-khuda se do pisar,dono imam-e-mashrqain
Baap ko kyu ho jahemate,aise ho jab ye noor-e-ain

Zour-e-yazid dekh kar,huqm-e-Rasul(s.a.w.) ke khilaaf
Deen pukara Ya Ali(a.s.),Samne aa gaye Hussain(a.s.)

***
Karbal me juda hota tha,bhai yu bahan se
jis tarh koi rooh neekalti ho badan se

***
Mashq kandhe pe naher par kabja
Ek Hasrat na ho saki poori

Pani chuloo me leke faik diya
Haye Abbas(a.s.) teri majboori

***
Faraaz-e-daar se ye mesum bayaan dete hai
rahega ziqr-e-Ali(a.s.) hum zabaan dete hai

Ali(a.s.) ki jaaye wilaadat ki jab baat chali to
kaha khuda ne ki hum apna maqaan dete hai

Safe bana ke moheebo ke daar se meum
namaaz-e-ishq-e-Ali(a.s.) ki azaan dete hai

Luta ke ghar ko ye bole hussain(a.s.) duniya se
ki is tarh usoolo pe hum apni jaan dete hai

***
Agar jo Ali(a.s.) ko zamaana samaj leta
tumhara hasab-nasab yu gumnaam na hota 

Ali ka dil me agar hub rakhte ay ahel-e-qufr
jannat ka dar tumhare liye band na hota

Jara goar karte saki-e-kousar he kis ka naam
kash  tumne Ali ka qunba pyaasa na rakhkha  hota

Tuje jagaya namaaz padh ne ke liye moula ne 
ay abu mulzim tere jaisa koi dagabaaz nahi hota.

***
Jab uthayi  imtehaan-e-aakhir me Shabbir(a.s.) ne zulfiqaar
tab mach gayee zaleemo ki fouz me hairat angej hahaqaar

Shola-e-zulfiqaar is tarha se chamka
kya azeeb tha manzer woh jung ka

Ran me uth ne lagi khoon ki mouze
marhaba,jake qufe se takrayi fouze

***
Wafa jis ka padhe qalma use Abbas(a.s.) kahete hai
jeese sajde kare sajda use Abbas(a.s.) kahete hai

Woh pyaasa pyaas ne jiski kiya seheraab dariya ko
jo he paikar shuja'at ka use Abbas kahete hai

Jo hai Shabbir(a.s.) ki quwwat,Ali(a.s.) ko naaz hai jis par
jise Zahera(s.a.) kahe beta use Abbas(a.s.) kahete hai
.
.
.
***
Achha hua Ali(a.s.) ki maa qa'abe me chali gayi
warna thodi see der ho jati to qa'aba khud chala aata

***
Azeem hai is jahaan me Sher-e-khuda ka aana
qa'aba he ban gaya jiska zahoor khana

Salaam madar-e-Ali(a.s.) jo di hai Aamat-e-Ali(a.s.)
ke jis se haq ke dushmano ki hui hai shaamate khadi

Ghadir me payaam bole hai ye Nabi(s.a.w.)
mai jis ka hu moula'moula uska Ali(a.s.)

***
kaha beheest kha jahannam,ye hur(a.s.) ki kismat ko khoyi dete
Hussain(a.s.) ke raste pe chal ke,smbhal gaye dagmaga ne wale

***
Bateel se jung karne ko taiyaar rahenge
aaso mere har doar me talwaar rahenge

mil jayenge mitti me sabhi dushman-e-matam
dunya me faqat sheh ke azadaar rahenge

***
Ali(a.s.) Imam-e-Mansto,Manam Gulaam-e-Ali(a.s.)
Hazaar Jaane Geerami,Fida-e-Naam-e-Ali(a.s.)

***
Khutw-e-zainb(s.a)-o-sajjad(a.s.) ne woh kaam kiya
Ziqr-e-hussain(a.s.) Ibn-e-Ali(a.s.) hashr talaq aam kiya

***
Mout ke sailaab me har khuskotar beh jaayega
Magar naam-e-Shabbir(a.s.) sada ke liye rahe jaayega

***
Kaha sakina(s.a) ne ay bachcho ab koi aas nahi
Pani ki talab chhod do pyaas bujane wala koi nahi

Sukhe kunjo ko kahi jaake chhupalo bachcho
toot gaya muqaddar ab koi sahara nahi

Koi pyaasa na kare sheeqwa-e-tashnalabee
paas baba ke mere dusara Abbas(a.s) nahi

***
Agar namaaz se puchho ki karbala kya hai
Hussain(a.s.) aur tera rista-e-wafa kya hai
To Kaha namaaz ne sunlo meri baqa kya hai
Bus ek Sajda-e-Shabbir(a.s.) ke siwa kya hai

Hussain(a.s.) hi ka gharana bacha gaya mujko
Woh khud ujad gaya leqeen saja gaya mujko

***
Ali(a.s.) ne bech ke sar lithi Qibriya(s.w.t.) ki Reeza
Ab unki beti(s.a) ki miraas hai khuda ki Reeza

***
Qateel pe ahesaan tha tha jis haq ke wali(a.s) ka
Paani ko tarasta raha farzand(a.s) usi ka

***
Milta nahi tha koi sahara yazid ko
Are ZAINAB(s.a.) ne is tarah se ujada yazid ko
Khatoon jung kar nahi sakti thi is liye
Khutwo ki zulfiqar se mara yazid ko

***
Zinda ho jate he jo marte he khuda ki raah me 
masha'allah,mout ko kis ne masiha kar diya

Aazim he shahadat-e-sabbir(a.s.) is jamaane me
raah-e-khuda ki mout ne shaheed-e-aazam bana diya  

***
jo isk-e-khuda me jeete he woh kya kya kar jaate he
wahi qateel ko baksh dete he,wahi ghar-bar luta dete he
wahi beto ko qurbaan karte he,wahi zamane ko badal dete he  
pani se bhari mashk pyaase ke hath me ho
wafa ke waste woh pyaasa shaheed hota he

***
Surma feetna-e-bateel ko mita dete hai
Khoon deheke hue zarro ko peela dete hai
Apne chando ko andhero me sula dete hai
Apni godi ke charago ko buza dete hai
Misle-e-shabbir(a.s.) jo paygaam-e-amal dete hai
Aise hi log zamane ko badal dete hai

***
Kahi Deewar Hilti He,Kahi Dar Bhag Jata He
Ali(a.s.) Ka Naam Sun Kar aaj Khaibar Qaap Jata He

***
Lakho sar he jinhe namaaz bachati he
magar namaaz ko bachaye woh sar Hussain(a.s) ka he.

Yazidiyat kyu muh chhupaye kahi baithi he
use khouf khuda ka nahi dar Hussain(a.s.) ka he.

***
Ay Karbala naseeb tere bade zagmagaaye he
kyu ki tune aththara chand bani-hashim ke paaye he

***
Jab bhi qalam uthayegi duniya furaat par
Likhna padega koun tha pyasa furaat par
pahere jo kal thaye the woh aake dekh le
Lahera raha he kis ka farerah furaat par

***
Jannat ki maheki huwi khushbu bohot khub he
lekin Abbas(a.s.) ke roze ki feeza sab se alag he
har sakhi karta he apne hatho se ata, magar 
Abbas(a.s) ki ata karne ki ada sab se alag he

***
Hatho se apne karta he khairaat har sakhi
Abbas(a.s.) ne to hath bhi khairaat kar diye

***
Sakhi wohi he jo saail se radd-o-qad na kare
kare sawal jo koi to usko rad na kare
mai aitraaz tera kaise manlu wayiz
Ali(a.s),Ali(a.s) hi nahi he agar madad na kare

***
noor-e-haq,shamme-e-ilahi ko buza sakta he koun
jiska hami ho khuda usko mita sakta he koun

***
Jo pancho ungliya uthti to Arsh-o-farsh uth jate
Gani mat janiye do ungliyo pe Bab-e-Khaiber hai

***
gaheware me do ungliyo se chira tha qal-e-ajagar ko
kya usi do ungliyo se ukhada tha bab-e-khaiber ko

***
Sunnat-e-Zainab(a.s.) yahi ke Tajiyadari koro
jise khus ho Fatema(s.a.) aisi Azadari karo

***
agar Ali(a.s.) Ki wiladat Qa'abe na hoti
to hargiz kisi ki ibadat kubul na hoti  
har shaqs jo kaheta Aliyuwaliyullah
khuda ko jahannam banane ki jarurat na hoti

***
Duniya jo dekhi deen se khali Hussain(a.s.) Ne
Tab Buniyad La'ilaha ki dali Hussain(a.s.) Ne  

Jannat ki Aarzoo me kaha ja rahe hai Log
Janaat to Karbala me mangali Hussain(a.s.) Ne

***
pahoche ABBAS(a.s.) lab-e-naher jo HAIDER(a.s.) ki tarah
mashq me naher uthalee DAR-E-KHAIBER ki tarah
dekh kar HAZARATE-E-ABBAS(a.s.) ko kahete the adu
ek insaan najar aata hai LASHKAR ki tarah

***
Haqa ke bina-e-La'ilaha kabhi tahereer na hota
Qalam-e-Pak Qur'aan tazeem ke layak na hota
mit jata tera deen ay Rabb-e-zulzalaal(s.w.t.)
agar Zahera(s.a.) ki nasal me Shabbir(a.s.) na hota

***
Ham Hussaini hai is duniya me failay hue
Fateme Zahera(s.a.) ki dua har dum sath liye hue
Hamari juba pe sada raherti hai Labbaik Ya Hussain ki
Dil me Mazloom-e-Karbala ka gam liye hue

***
Man qunto se hai saf aya shan Ali(a.s.) ki
ek hi masnad hai Nabi(s.a.w.) aur Ali(a.s.) ki
Allah(s.w.t.) ko jitni Mohammad(s.a.w.) ki hai jarurat
utni hi Mohammad(s.a.w.) ko jarurat hai Ali(a.s.) ki

***
Ali ka tasqeera karna shuja'at hai
Ali ki yaad me marna ibaadat hai
woh kaise madad karte hai khud malum hoga 
bus ek bar pukar ne ki jarurat hai

***
Aaya he jo khuda ke ghar se
Jata he wohi khuda ke ghar se
Ha ye aisa azim martaba he janab
Jiski ruksati se saya utha he kayinaat ke sar se

***
Husain woh hai jisey nabi ki  mohabbat talash karti hai
husain woh hai jisey  wali ki mohabbat talash karti hai
zamane waale to jannat talash karte hai
husain waalon ko jannat talash karti hai

***
Mola ALI (a.s.) aur Mola Abbas Alamdar (a.s.) ki shaan me ek shayar ne kya khub likha hai.

Karbala ki jang khatam ho chuki hai Mola ALI (a.s.) Mola Abbas Alamdar (a.s.) se rubaru hote he to Mola Abbas (a.s.) apne walid se sawal puchte hai aur phir Mola ALI (a.s.) apne farzand ko jawab dete hai..
Dil se padiyega Mola Abbas (a.s.) ki 4thi line me apko ansu aa jayenge aur Mola ALI (a.s.) k jawab ki 4thi line me aap subhanALLAH pukar uthenge gour se aur dil se padiyega.

Mola Abbas arz karte hai:

Tumse Badkar To Shuja-at me nahi hai Abbas
Apne Bete Se Bahar-hal Bade Ho Mola
Apka Apna Hu Isliye Puchunga Zaroor
Kya Kisi Jang Me Pyase Bhi Lade Ho Mola.

Mola ALI (a.s.) farmate hai:

Ruh-E-Haidar Ye Pukari Mere Bete Abbas
Marhaba Khub Ye Andaz-E-Fidakari Hai
Zimmedari Se Uthaya Tere Hatho Ko Salam
Warna Ye Mashq To Khaibar Se Kahin Bhari Hai.

***
Jab hokar gujar jate he sawa lakh paygamber
Tab Jake kahi duniya me aata he ek Hussain.

***
Kisi ne poocha humse un teeno ka pata...
Hamne keh diya kahaan bhaag gaye kya pata...
Hamne to har jung me yahi suna...
Ali (a.s) hain la fataah or woh teeno hain laapataa

***
Milta Khuda ka Deen He Payamber Ke Hath Se
Allah Rizk Deta He Haider Ke Hath Se

***
Jab khuda ko pukara Ali aa gaye
Jab Ali aa gaye jindagi aa gayi
Jindagi,bandagi,roshni aa gayi
Roshni aa gayi, Aag hi aa gayi

****
Suraj se nikalti hui Tanveer rok lo
Tum sab Dua-e-Zehra ki Ta'seer rok lo
Mazloomo'n ko sataana hua kab Bahaaduri
Himmat hai gar, toh Matam-e-Shabbir roklo

***
Zehra ke dono lal ki eid bhi ajib thi
Ghar me tha faka aur garibi karib thi
Rab ko n tha gavara ke hasnain ho udas
Bheja libase jannat mohbbat ajib thi

***
KARBOBALA KE AAKHRI SAJDE KI SHAKL ME
ISLAAM PE HAI AAJ TAK QARZAA HUSAIN KA
DETE NA SAR HUSAIN TO BACHTI NA KOI EID
ROZAA NAMAZ EID HAI SADQAA HUSAIN KA

***
noor faila he tamanna-e-khadija ban kar,
raat aayi he nasibo ka sawera ban kar,
shab-e-hizrat ka nabi aur shab-e-mairaj ka rab,
fatema aap ke ghar aaya he dulha ban kar.

****


Yade Abbas me yoon Bali Sakina roye,

Jaise Shabbir ki furkat me Madina Roye,

Fatima Majlise Sarvar me dua karti hain,

Mere Bachho pe jo roye wo kabhi na Roye.



****


Behtar hai dar "ALI" ka ghulami k wasty


Sab kuch hai in k pas sawali k wasty


Ghar par buland kijiye ABBAS ka ALAM


Aaye ga JEBRAIL bhi salami ke wasty



****


अफज़ल है कुल जहान से
घराना हुसैन का,

नबियों का ताजदार है
नाना हुसैन का...!!!


एक पल की थी बस
हुकूमत यज़ीद की,


सदियां हुसैन की हैं
ज़माना हुसैन का...!!!



*****



Ek zaat-e-Ali me istarh nabiyo ki fazilat simti hai.......

ke ek nuqte me jistarha pure quraan ki aayat simti hai..........

Pahle to nabuwat ko pala fir phul-e-imamt ko paala......

Hathon me abutalib tere islaam ki qismt simti hai..........


***


Hajiyo se yahi deeware haram kehti hai.

Karbala roz na jau to mai kaba hi nhi.

Tujhko Haq kisne diya tu meri deewar ko chum.

Tune jab parchame Abbas ko chuma hi nhi.



***

*
Shabbir Din-e-Islam Ki Zarurat Ka Naam Hai ,* 
Shabbir Apne Nana Ke Maksad Ka Name Hai ,
*
Shabbir Fatema Ki Banai Roshani Ka Naam Hai ,

Shabbir Shahadato Ki Ajmat Ka Naam Hai ,

Aye Ulfat e Shabbir Tere Ehsan Bade Hai ,

Tuje Chhodke Hath Bandhe Maszid Me Ye Gaddar Khade Hai ,*

****


dil me khuda rabe lazim he iqbal .....

sirf sajdo me pade rahe ne se jannat  nahi milti ......


Wo hath jo utha ibadat me bina Ali (a.s) ke 


Lakh kar le sajde ibadat nahi milty.....



****


YAQEE'N HUSAIN KO THA IS JAHAA'N KI MITTI PE


ISEE KE WAASTE HAR DIL ME YE SAMAATI HAI


HAZRAT E SHAH NE SARKAARE BAA WAFAA SE KAHA


ZAMEEN E HIND SE KHUSHBUE WAFAA AATI HAI



***
Aankh soti hai, hamaray dil kabhi sotay nahin,

Apnay mansab ki fazeelat ko kaheen khotay nahin;

Teer kha ke, muskura ke, keh gaye Asghar (A.S) humain,

Hum hain Aulad e Ali (A.S), maidan mein rotay nahin.”



***

*
Kahun ye bat zamanay ko gar bura na lagay,
ALi (as) ALi (as) hi nahi hy agar Khuda na lagay,
Ye bar bar nuseri se kyun ulajhte ho,
Kaho Ali se ye jakar ke wo Khuda na lagay.

*

****

Mohammad ka wasi haq ka wali kahna hi padta hai, 

Khuda k nam ka naqshe jali kahna hi padta hai, 

Zamana lakh katray Abu talib k bete se 
Magar, 
waqte musibat ya ali kahna hi padta hai.

****
Pucha gaya ke kon hai sabse bada shaheed..

Kagaz pe maine asgare besheer likh diya...

Maine kaha tabib se sine me dard he...

Nushke me usne matame shabbir likh diya.



***

लोग कहते है
अगर हाथों की लकीरें अधूरी हो तो 
किस्मत अच्छी नहीं होती..

लेकिन हम कहते है की
 सर पर हाथ "अली"का हो तो
 लकीरों की ज़रूरत नहीं होती..

***

Ali(a.s) Se Pyar Karte Hai Tera Ahesan Hai Maula,

Ali(a.s) Ka Pyar Apna Din Hai,Imaan Hai Maula,

Da-e-Shahe Nazaf Ko Chhod De Jannat Ke Badle Me?

Ye Sauda Hum Nahi Karte Hame Nuksan Hai Maula.

***
Khuda Khud Ahemade Mukhtar Kar de,
Sariyat Ka Jo Beda Par Kar de,
Khilafat Ke Liye Kya Ladega Wo,
Jo Khuda Ban Ne Se Inkar Kar de.

***
waqaar-e-bint-e-nabi me na kuch kami aaye
khuda ke ghar me isi waste Ali aaye

***
sher-e-khuda ke martabe ka pass chahiye,
woh sher hoga naam bhi Abbas chahiye

***
imdad apne jaiso ki din-raat kar gaye,
khaliq ko jo pasand hai woh baat kar gaye,
dekha hai ham ne sab ko namazo me mangte,
lekin 'Ali' namaz mekhairaat kar gaye.

***

haider ne apne sher ko lashkar bana diya ,
toofan pila pila ke samander bana diya,
Lori suna suna ke Ali ki muraad ko,
Ummul banin ne hu bahu hiader bana diya.

***
wohi aawaj ,wohi laheja e guftaar hai,
wohi tewar wohi hubahu raftaar hai,
nuseri bhi hairat me yuhi girftaar hai,
kya Abbas bhi mera parwardigaar hai.

***
7 rajab aamad hai sher-e-wafa ki,
dua aaj puri huyi mushkil kusha ki
yaha chand qamar-e-bani hasim ka chamka
waha taqdeer chamki karbala ki.

***
maheshar me kuch pir murido se kahenge,
tumhe apni padi he hame apni padi he,
duniya me jiska haq chhina tha,
darwaja-e-jannat pe wahi bibi khadi he.

***
baki aaj aadeb-e-ibaadat moula sajjad tum se he
tahejib-e-halat-e-bimar moula sajjad tum se he
koi nahi milega  tarikh me moula aap jaisa
bimar hoke bhi skhawat-e-shifa moula sajjad tum se he

***
Pakijgi-e-Ahelebayat Pe Kya Guftugu Kare,
 Jis Ki Gawahi Aayat-e-Tat'heer Baya Kare,
Aal-e-Nabi ki Azmat Ko Bhala Kya Jane Bashar,
Jo Daman Nichod De To Fariste Wajoo Kare.

*** 

दाग तेरे दामन के धुले ना धुले !!!!


नेकिया तेरी तराजू में तुले न तुले !!!!!


आज ही गुनाहों से कर ले तोबा !!


ख़ुदा जाने कल तेरी आँख खुले ना खुले !! 



"अस्तगफिरुल्लाह   रब्बी   मिन कुल्ली   ज़न्बिउ   व  अतुबू   इलैही" 

***

safar taweel hai, rah-e-nijaat chhoti hai,
Ali(a.s.) ka zikr bada hai hayat chhoti hai,
Ali(a.s.) ko kaise mai moula-e-kayinaat kahu
bada hai nam-e-Ali(a.s.) kayinaat Chhoti hai.

***

Na thi Zameen, Na Tha Aaftaab,
Sirf Allah or Noor-e-Risalat Ma'aab tha,
Jis Din Hui thi Khilqat-e-Adam Turab se
Us Waqt bhi Ali(a.s.) ka Laqab Buturab tha.

***

Ali (a.s.) ki shan-e-molud badi nirali hai,
khuda se fatima bint-e-asad(a.s.) sawali hai,
kaha rakhoo wilaayat ki naimate-e-uzma ?
Jawab aaya ki Mera Makaan Khali hai.

***

શાહ ને એક રાત કી મોહલત માંગી થી યે સોચ કર,કી અસહાબે મેં કોઈ ડર તો નહિ. 
યા ફિર યુ કહીએ કી હીરો કો એકઠે કર કે જોહરી દેખ રહા હૈ,કોઈ પથ્થર તો નહિ. 


***


Jahan Jahan Uthi Nazar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Shajar Shajar, Samar Samar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Zameen Se Aasman Talak Nazar Gayi Jahan,
Dua Dua, Asar Asar,
Hussain Hi Hussain Hain,
NABI ki Pusht-e-Pak Ho,
Ya Karbala Ki Khaak Ho,
Ghuroor-e-Sajda Jis Ka Sar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Jo Zair-e-Taigh, La-Ilah
Kaha To Keh Utha Khuda,
Hai Jis Pe Mujh Ko Naaz Woh,
Hussain Hi Hussain Hain,
Kata Ke Sar, Luta Ke Ghar,
Karay Jo Sajda Khaak Par,
Zameen Pe aisa Moa’tbar,
Hussain Hi Hussain Hain..

Hussani Shayari

Naa shiyon ka hai, Na suniyon ka hai,
Nawaasa Rasool to saarey jahan ka hai,
Na jhukaya sar pal bhar ke liye yazeed ke samne,
Salaam tujh per aye Hussain sarey jahan ka hai,
Bachaya jis deen ko bari qurbaani de kar,
Aaj wohi deen-e-Mohammadi sarey jahan ka hai,
Band kardiya jis darya ke pani ko,
Qasoorwaar wohi firaat sarey jahan ka hai..



Hussani Shayari

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!!


Hussani Shayari

Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Hasher Tak Koi Yazeede Sar Utha Sakta Naheen
Jis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna Naheen
Fatima Key Lal Ney Aehsaan Aesa Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Ker Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Teri Qurbanee Sey Pehley Deen Ko Aya Na Chain
Umbeya Sey Bhee Mukamal Jo Na Ho Paya Hussain
Ek Sajdey Ney Tarey Woh Kaam Pora Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Aajj Bhee Nazan Wafaein Hain Tarey Abass Per
Neahr Per Ghazi Key Donoon Kat Gaye Bazo Mager
Ta-Abad Islam Key Percham Ko Ouncha Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Maar Key Ibn-E-Ali Ko Cheeni Zenab Ki Rida
Jab Para Kalma Nabee Ka Phir Sar-E-Kabubala
Aaal-E-Ahmad Key Liye Kyuon Hashar Berpa Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Naaz Senoon Key Sinnah Per Ubhrah Tha Jawad Jo
Kasey Bholey Ga Zamana Fatima Key Chand Ko
Sar Kata Key Us Ney Apna Youn Ujala Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya


Hussani Shayari

Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Sar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-Yazeed
Haqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain
(Khwaja Moinuddin Chisti)
???????????????
Islam Ke Daman Men Bas Is Ke Siva Kya Hai
Ek Zarb-E Yadulla Hi Ek Sajda-E Shabbiri
(Allama Muhammad Iqbal)
???????????????
Haqq O Batil Ki Hai Paikar Hameha Jari
Jo Na Batil Se Daren Hain Vahi Shi?an-E Hussain
(Muhammad Ali Jauhar)
???????????????
Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Ba?d
(Muhammad Ali Jauhar)
???????????????
Jo Zulm Peh La?nat Na Kare, Aap La?een Hai
Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai
(Faiz Ahmed Faiz)

Hussani Shayari

Jabeen-E-Ibn-E-Ali Ki Niyaz Jari Hai
Khuda K Deen Ki Umr-E-Daraz Jari Hai
Sajday Main Rakh K Sir Ko Na Uthaya Hussain Nay
Mere Hussain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai


Hussani Shayari

Sar Gair K Aage Na Jukane Wala
Aur Nezey Pey Bhi Quraan Sunaney Wala
Islam Se Kya Poochte Ho Kon Hussain
Islam Ko Islam Banane Wala


Hussani Shayari

Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De
Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De
Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne
Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De


Hussani Shayari

Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga
Maqsad-E-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga
Yaad Ker K Jo Na Roya Karbala Walon Ki Pyaas
Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga


Hussani Shayari

Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai Wo Sar Kis Ka Hai
Lut K Abaad Hai Ab Tak Wo Jo Ghar Kis Ka Hai
Takht Walon Ne Muar?rikh Bhi Khareede Honge
Zikr Dunia Main Magar Shaam-O-Seher Kis Ka Hai


Hussani Shayari

Tareekh De Rahi Hai Ye Awaaz Dum Ba Dum
Dasht-E-Sabat-O-Azm Hai Dast-E-Bala-O-Gham
Sabr-E-Maseeh Wa Jura?at Suqraat Ki Qasam
Is Rah Main Hai Sirf Ek Insaan Ka Qadam
Jis Ki Rago?n Mein Aatish-E-Badr-O-Hunain Hai
Us Soorma Ka Isme Girami ?HUSSAIN? Hai


Hussani Shayari

Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai
Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra
Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai


Hussani Shayari

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari Tujhay Us Se Itna Hasad Hai Kyun?
Jo Nabi(S.A.W.) Ki Aankh Ka Noor Hai Jo Ali Ki Rooh Ka Chain Hai
Kabhi Dekh Apne Khameer Main Kabhi Pooch Apne Zameer Se
Wo Jo Mit Gaya Wo Yazeed Tha, Jo Na Mit Saka Woh Hussain Hai


Hussani Shayari

Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main
Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main
Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal
Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main


Hussani Shayari

Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen
Aya Meray Naseeb Mein Parchum HUSSAIN Ka
Phir Chand Ne Kaha Mere Seenay K Daagh Dekh
Hota Hai Aasmaan Pe Bhi Maatam HUSSAIN Ka


Hussani Shayari

Leta Tamaam Kaam Woh Apy WALI Se Hai
Nisbat Har Ek IMAM Ko NOOR-E-JALI Se Hai
Kul Ikhtiyaar Se Diye HASSAN O HUSSAIN Ko
Deta KHUDA Zroor Hai Milta ALI Se Hai


Hussani Shayari

Fiza-e jannat main bhi hamaisha nasheest un hi saji rehay gi
tamam ahlay wila ka mirkaz NABI(PBUH) ki bara dari rehay gi
jo phool shakhoon say gir bhi jain to un say khushbo juda na ho gi
jo hum marain bhi to zehan o dil main ALI(A.S) KI KHUSHBO BASI REHAY GI


Hussani Shayari

Meezan e jahalat main gohar tol raha hai
pemanaye tableegh main sab ghol raha hai
gar Ya Ali kehne pe koi toke to samjho
shaitan ki mehfil se koi bol raha hai

Mola HUSSAIN (AS)
Khuda Hi Janta Hai Haqiqt Hussain (As) Ki,
Muhammad Mustafa (Saw) Se Poch Izat Hussain Ki,
Jibrael (As) Se Poch Khidmat Hussain (As) Ki,
Qul Anbia (As) Se Poch Ibadat Hussain (As) Ki,
Mola Ali (As) Se Poch Azmat Hussain (As) Ki,
Bibi Fatmah (Sa) Se Pocch Fazilat Hussain Ki,
Sakina (Sa) Se Poch Muhabat Hussain (As) Ki,
Sajjad (As) Se Poch Wasiat Hussain Ki,
Bahlol Se Poch Janat Hussain (As) Ki,
Qul Karbala Se Poch Karamat Hussain (As) Ki,
Yazid (Lanti) Se Poch Taqat Hussain (As) Ki


Hussani Shayari

Hay Pori Kayanat Mein Hakoomat HUSSAIN Ki
Wajib Hy Momino Pe Muhabbat HUSSAIN Ki
Dozakh Se Uth Ke Wadi-e-Jannat Mein Aa Gia
HUR Par JO Pari Sham-e-Enayat HUSSAIN Ki


Hussani Shayari

Apni Jannat Ko Zara Aur Saja Le Rizwan!!!!
Is Se Acha To Merey Ghar Ka Azaa Khana Hy
Zid Na Kar Tu Mujhe Firdos Main Le Janey Ki
Rasta Chor !!! Mujhe Karb-o-Bala Jana Hay


jo jaanta hi nahin ishq e MURTAZA ki hai
phir aisay shaks ke jeenay se faida kia hai

jisay nabi ne pukara tha apni mushkil mein
usay jo hum, bhi pukaaray to phir bura kia hai
zuban e meesam e tammar hi bataye gi
sharaab e midhat e haider ka zaaiqa kia hai
kaha khuda ne namazo ki baat jab aayee
baghair ishq e ALI ho to faida kia hai
meri lahad peh ALI se kaha farishton ne
yeh aap ka hai to phir is se poochna kia hai


Hay shauq dil meiN manqabat- e Bu-Turab ka
Alfaaz magar rakhtay nahi quwwat-e-wafa
Taab-e- ramak-e Ilm-e- Ali(as) rakhtay nahi haiN
Seena hua hai shaq tabhi har aik chah ka

munkir e haider ko tab tak maza aata nahin
jab talak mein na karloon khul ke maula ki sana
jab talak keh who maar tehzeeb ki khaata nahin
bazm e maula mein mujhay lutf e sukhn aata nahin
zaib deta hai zaat e yazdaan ko faqat
keh dia haq ne ALI hain mohtram baad e nabi
ehl e nakhwat ki samajh mein yeh magar aata nahin
feham mein teray magar yeh qaul e haq aata nahin
batan e maadar mein bhi thay mushkil kusha meray imam
haq ka ho dastoor jis ki mominiyat ka chashm
martaba likin yeh kisi “haasid” ko bhaata nahin
jaabiro se maat kabhi who momin khaata nahin
jis ka haider naam ho,who naam rakhnay se faqat
sath haider ke ho haideriat bhi to phir
aik saraapa haideri saanchay mein dhal jaata nahin
who kisi marhab ,kisi antar se ghabrata nahin
ibne muljim saamnay aakar kahin karta jo waar
inkisaari mein hain panhaan kamrani ke romoz
khud moarrikh bhi yeh kehta hai sambhal pata nahin
dhiyaan se yeh meray farmaan e ALI jaata nahin
shahaan e jahan sab hain gada e haider
hai abr e karam dast e sakhaaye haider
yaqoob o khalel o yusaf o adam o nooh
sab ki mushkil mein kaam aaye haider
Yeh joodo sakha haatim e taaye mein nahin
misl in ke koi uqda kushai mein nahin
maabood ke hain abd, nuseri ke khuda
banda koi haider sa khudai meain nahin
ALI ki manzilat kuch poochiyein salman o bozar se
Ali ko pehchana,to in dono ne pehchana
ALI ki dosti aur dushmani mein farq hai itna
Who dozakh ki sanad hai,aur yeh jannat ka parwaana
Aalam e islam mein kaaba hi qibla hi faqat
Aur is ghar mein ALI,molood e kaba hai faqat
Jo mila hai Allah k ghar se who aala hai faqat
Who nabi k baad momin ka sahaara hai faqat
Azmat ibne abu talib ko samjhay to jahan
Hon khuda k ghar mein paida aik ishaaara hai faqat
Aasmaan se jab chala anjum to is ko tha yaqeen
Dar e ALI ka qaabil e taazeem o sijda hai faqat
Jang e khandaq ho,ya Khyber,ya keh ho jang e badar
Saaray gazwon mein ALI ka naam aula hai faqat
Senkrron maaray gaye haider k haathon se magar
Hum wazan do lakht marhab ka janaza hai faqat
Who ALI jo hai wali bhi aur wasiye Mustafa
Is ko hi mushkil kusha keh kar pukaara hai faqat
ALI KI BAZM KA KUCH AISE AETEMAM KARE
FARISHTE AAKE ZAMIN PAR HAME SALAM KARE
YEH AARZU HAI KI YU ZINDAGI TAMAM KARE
NAJAF ME SUBAH KARE KARBALA ME SHAAM KARE.
ALI ALI NAZAR AAE JIDHAR JIDHAR DEKHA
ALI KA NOOR EK SHA-E-ME JALWAGAR DEKHA
ALI KO HAQ NE UTARA AIN KAABE ME
KHULI JO AANKH TO PEHLE KHUDA KA GHAR DEKHA.
————————————————–
yay sochna hee abas hae kahaN kahaN hae ALI
jahaN jahaN hae haqeeqat wahaN wahaN hae ALI
idher hae zaat-e- khuda,udher hae zaat-e-muhammad
inhee lateef hijabouN kay darmiyaaN hae ALI..
Kia khaak who darray gay lehad ke azaab se
Mansoob hai jo khaak e dar e boo turab se
Mushkil kusha hain paas farishto adab karo
Mushkil mein daal doon ga sawaal o jawab se
Khyber mein dekhna,yeh hai jibrael ya ajal?
Lipta hua hai kon ALI ki rikaab se
Jo “YA ALI MADADâ€‌ ko gunah keh ke charrh gaye
Who bekhabar hai meray gunnah k sawaab se
Pehlay yeh zid thi khuwab mein dekhay gay hum khuld ko
Ab zid hai keh khuld mein jaagain gai khuwab se
Mohsin..bahisht MOLA ALI ki wila se hai
Mein ne yehi parha hai khuda ki kitaab mein
Uroose azm ki zeenat sana e haider hai
Bayan ka husne latafat sana e haider hai
Gul e riaz fasahat sana e haider hai
Khuda ki ain ibadat sana e haider hai
Jo haq shanaas hain un ko sana yeh bhaati hai
Yehi sana to bahisht e bareen dikhati hai
Tatheer keh rahin hai taharat ALI ki hai
Afzal kahein jisay,who ibaadat ALI ki hai
Insaaf ki sada hai,adaalat ALI kihai
Arzo sama ALI ke hain,jannat ALI ki hai
Kaabay mein khaas jaaye wiladat ALI ki hai
Masjid mein jo hui who shahadat ALI ki hai
Naad e Ali ka wird jo karte chali gaye
umr e rawan sakoon say guzarte chali gaye
deewana waar loug bhi martay chalay gaye
taigh e Ali jidher say guzarte chali gaye
Aik rooz ye manzar badlega, aik din ye chaman lehrayega
gulshan me chalegi aysi hawa, ye dour-e-khaza mit jayega
ye dharti sona uglegi, ye chargh gohr barsayega
aik din ye nizam-e-zulm wo sitam, qud zaalim ko rulwayega
qanjar ka kaleja kanpega, talwaar ka sar jhuk jayega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge
Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
ya Ali tera haseen naam bhala lagta hai ,
aur teri nisbat say yeh islam bhala lagta hai,
laug kehte hain tere ishq mein kafir mujh ko ,
aur mere dil ko ye ilzam bhala lagta hai!!
———————————————
SAFAR TAVEEL HAI , UMRE DARAZ CHOTI HAI
ALI KA ZIKR BAHOT HAI , HAYAT CHOTI HAI
ALI KO KAISE MAIN MAULA E KAYNAAT KAHU
BADA HAI NAAM E ALI , KAYNAAT CHOTI HAI
ALI FUROO BHI HAI , ALI USOOL BHI
ALI MAULAE KAYNAAT , SHOHRE BATOOL BHI HAI
YA ALI KEHNA AGAR HAI HARAAM (MAZALLAH)
TO IS GUNAH ME SHAMIL MERA RASOOL BHI !!
————————————————-
chamakta hai kahan aflaak peh mehr e jabeen aisa
kahan hoga wilayat ki anghooti mein nageen aisa
khuda mehfooz rakhein chashme bad se husn e haider ko
barri mushkil se paya hai nabi ne jaanasheen aisa
-
———————————————–
ahl-e- qirat ki aankh ka taara hae YA ALI
aur mo’minooN k dil ka sahara hae YA ALI
meri tamam mushkilain aasaan ho gayeN
mushkil mae maeinay jab bhee pukaraa hae YA ALI
————————————————
Bhaetek rehay ho to raah-e-thawaaaab bhee dhoondhoo
andherey hayn to koi aftaab bhee dhoondho
banay ho matttiii saay mitt jaao gay musalmano
jo bechhna hay to koi Buuturaabbhee dhoondhoo
———————————————–

Bohat kam hai jo khul jaatay hain izhaar-e-dili kar ke
Taassur hi batata hai haqeeqat munjali kar ke
Munaafiq aur momin ki agar pehchan karniho
Faqat chehray ko dekha chahiyyein zikr-e-ali kar ke
Meri majaal hi kia aur kia meri auqaat
Kuja haqeer sa banda kuja imam ki zaat
Karay jo wasf-e-ALI,hai yeh kis ke bas ki baat
Who zaat jama hain jis mein sab anbiya ki safaat
Har aik zarra-e-imkaan ne yun to banaya hai
Bajuz khuda o nabi kis ne un ko jaana hai
——————————————–
Jab se tumhain madad ko pukara hai YA ALI
har moj ki jilao mein kinara hai YA ALI
Behr-e-hayaat,hasrat-e-toofan nikaal dey
berra bhanwar mein keh ke utaara hai YA ALI
us ki nazar mein shaukat-e-taajo sareer kia
jo bhi ghulam dil se tumhara hai YA ALI
bakhshi hai tum ne fikr bashr ko tajalliyaan
tum ne shaoor-e-zeest nikhara hai YA ALI
hai aap hi ka ishq anees-e-game-hayaat
warna hayaat kis ko gawara hai YA ALI..
—————————————–
Kuch aur bhi bawaqaar hojata hai
Madhosh bhi hoshiyaar hojata hai
Jo peeta hai jaam-e-mai-e-hubb-e-ALI ,
Konain ka raazdaar ho jaata hai…
Kabhi ishq o maarifat ke shaaoor tak woh na pohncha
raha zulmaton mein hairaan kabhi noor tak na pohncha
yehi silsila-e-tareeqat hai yehi silsal-e-haqeeqat
jo ALI talak na pohncha,woh huzoor tak na pohncha
tamanna thee k pewand-e-khak-e-karbala hotay
wahan bhi khaak hee hotay magar khaak-e-shifa hotay
chashm-e-imaan mein ,nuseri hain alag,hum hain alag
woh khuda kehtay hain,hum sher-e-khuda kehtay hain
Woh aaftaab-e-fazeelat jisay zawaal nahin
karoon jo wasf to itni meri majaal nahin
tamam aalam-e-insaaniyat mein baad-e-Rasool
Khuda gawah,ALI ki koi misaal nahin..
———————————————
Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo
Apne Her Lafaz Ko Anmol Samjhoo
Ataa Hoti Hai Yeh Dar_E_Zehra Se
Apni Her Tehreer Ko Maqbool Samjhoo
—————————————-
—-
QIRDAR YAKEENAN MASOOM THA TERA ABBAS
UMMUL BANEEN KA LAAL SHERE KHUDA KA SHER HAI TU ABBAS
AB JO FATEMAH NE KEH DIYA TUJHKO APNA BETA ABBAS
TO FAQR SE KEH SAKTE HAM TUJHKO MOHAMMAD KA NAWASA ABBAS.
KAT GAYE HAATH MAGAR SINA SIPAR HAI ABBAS
FAUJE SHABBIR SA FAILA NE NAZAR HAI ABBAS
THARTHARAHAT SI JO DARIYA ME NAZAR AATI HAI
YEH TERE EK TAMACHE KA ASAR HAI ABBAS.
—————————————————
naam-e-abbas waseela hai har dua ke liye
ism e azam hai yeh momin ki iltija ke liyei
mansha e zehra iraada hai ali hukm e jali
saaniy e jaffer e tayyar hai gairat ka wali
khud chuna khaaaliq e akbar ne hai wafa ke liye
koi maanay ya na maanay hai ye eamaan mera
naam e abbas to bakhshish ka hai samaan mera
chashma e faiz hai yeh dar har aik ata ke liyein
baab peh sher e shayadat keh jobhi aaye ga
jo bhi maangay ga qasam haq ki usay mil jaaye ga
nuskha e keemya hai naam peh aik shifa ke liyein
deed karti hoon alam per to saans rukta hai
yaad aajata hai gaazi mujhay yun lagta hai
ab bhi rota hai yeh zainab teri rida ke liyein

                                 (1)
Ya Shab-e-Hijrat Ali(a.S) ki neend deikhee waqt nay
Ya Shab-e-Ashhor deikha jaagna Abbas(A.S) ka
Doobta Sooraj  Ubhertay Chaand per likh ker gaya
Hashar tak Hota rahey ga Tazkirah Abbas (A.S) ka
 Pooree hojaey gee haath uthnay say pehlay hee muraad
Maang lo day ker khuda ko waasta Abbas(A.S) ka
Maein apney Naunehaalun ko bana deityee hein shear
un ko loree mein suna ker waqia Abbas(A.S) ka

                                     (2)
Woh Jis Pe Naz Hai Namoon Ko Nam Ghazi Hai
Khuda Ka Hussn Hai Jitna Tamam Ghazi Hai...
Ali AS Ta Mehdi E Doran Imam e Haq Hain Taqi
Wafaa Ka Awwal o Aakhir Imam Ghazi Hai...


                                    (3)

BADAL JO UTHHE - HAZRATEY - IMRAN KE GHAR SE
PYASE THEY MAGAR - PHIR BHI BADI SHAN SE BARSE
KHOONE -ABUTALIB - KA YE HAI EK -'' KARISHMA
DO -LAKH -KO - '' ABBAS '' - NE -ROKA HAI - NAZAR -SE


                                       (4)‎

pyasa dariya se jo - ''abbase'' dilawar nikla
 jhoom kar boli vafa- mera '' payamber'' nikla
dafn ho jayegi - dariya ki tarayee me ''vafa''
socha ''abbas'' ne gar- ''honth'' mera tar nikla


                                        (5)
AAI MUSIBAT ME GIRFTAAR- PARESHHAN NA HO
KHAR HO JAYENGE SAB - KHAR PARESHAAN NA HO
HONGE SAB RAASTE HUMVAAR - PARESHAAN NA HO
'' BEHREY IMDAAD TERE -- PAAS CHALE AAYENGE
'' VAASTA SUNKEY SAKINA KA TO -- ''ABBAS '' CHALE AAYENGE


jo mashk- mein - bhar- sakta -hai -'' duniya -ka - samander
konain- me bas - ik - tera -saqqa - hai -'' sakina ''
'' abbas'' - ki - nazraun -se - koi- padhke- to dekhe
 aihsaas - ki - ek - '' nehje-balagha-'' -hai -'' sakina''


                                               (8)

Abbas(a.s) k khutbon se kalejo ki tarak sun
sun aatish-e-jolaan-e-balaghat ki bharak sun
mumkin ho to phir qalb-e-fasahat ki dharak sun
Aa dasht main karrar k lehjay ki karak sun
Kya takhtay wilayat pe Ali(A.s) bol raha hai
Ya mimber-e-sidra pe jali bol raha hai


                                            (9)

Kehta tha har yazidi(L) apni khair nahi hai..
ASAD-ul-Allah(A.S) k Pisar sa koi Shair nahi hai..
ABBAS(A.S) zair hoga maida'n mai kis tarhan??
ABBAS(A.S) ke to naam mein b zair nahi hai....


 Bheja Nahi Tha Sher ko Jung ke Khayal se,
Lag Jati Warna Aag Neher Mein Jalaal se,

Kat Kat ke Girey Zulm ke Parcham Zamin per,
Tera Alam Jawan Hay 14Soo Saal se !!


                                            (12)
Lab Pe Jo Kabhi Aajata HaiNaam-e-Abbas(a.s),
Dair Tak Hontoon Se Khushbu-e-Wafa Aati Hai.....


' kya -hai -namumkin- bataoon --' aur kya mumkin huai
'' 'panjatan'' -ke -wastey- se -- haq - dua - mumkin huai
'' loriyaan -dekar- kaha -shabbir-ne- humsheer -se
'' aa - gaye- ''abbas'' - tafseere - ''vafa''- mumkin -huai



                                           (15)
Iss tarhan se jeeenay ka hunar dete hain Abbas(A.S)..
ragh ragh main wafadaarian bhar dete hain Abbas(A.S)..
Yeh aise sakhi aise sakhi aise sakhi hian....
kuch maange bina jhoolian bhar dete hian Abbas(A.S)..


                                               (16)

Na Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki

                               
                                          (17)
larhta hua pohncha lab-e-dariya jo woh jarrar

Thah Daush Mubarak pey Alam Haath mein Talwaar

Kohnee sey tapakta  thah Lahoo Khaak pey her baar

Cheirha jo zara Urh key gaya nehar pey Rahwaar

Dil Khul Gaya aaee jo hawa sard taree ki

tar hogaee cheehntaun sey Zirah Jism Jari ki

Go Piyaas sey Tarpa Dil-e- Abbas Khush Atwaar

Bhooli Na Magar Tashnagi-e- Sayyed-e- Abrar

Us waqt mein rahwaar bhee hotey theh Wafadaar

Pani sey Utha-e- raha moon Apna woh Rahwaar

Samjha key Khijal hoonga Bauhat Piyaas Bujha key

Himmat usey kehtey hein Yeh Mainey hein wafa key

                                              (18)

Chun li khayal nay jo azal mein ALI(A.S) ki ain(
ع)..
Bay(
ب) Bizat-e-Rasool(S.A) ki ismat ka zaib o zain..
Al-hamd kay alif(
ا) ka sarapa dilon ka chain..
Wannas ki ye Seen(
س) ye Nutq-e-Dil-e-Hussain(A.S)..
Har harf kainat ka akkas ban gaya..
Dekha jo ghor kar k tou Abbas(A.S) ban gaya....!!!
-Mohsin Naqvi-


                                                (19)


MANGNY WALO'n KO YE DIL SE YAKEE'n HY ABBAS(A.S)..
NAHE KEHNA TERA DASTOOR NAHE HY ABBAS(A.S)..
AAY GE US DARR-O-DEeWAR SE KUSHBOO-e-WAFA..
JAHA'n PE ZIKR'e ALI(A.S) HO GA WAHEE'n HAI ABBAS(A.S)..
JANG KRNY K LEY NAIZO-o-SHAMSHEER TU KYA..
APNY HATHO'n KA B MOHTAJ NAHI HAI ABBAS(A.S)..

                                                 (20)

‎'abbas'' -us -jalal -ke tewar -ka naam -hai
 jo ''dhoop'' -ke badan- se - bhi - ''saya'' -nikal le
ab tak -kisi -yazeed -ki - himmat - nahi - huee
parcham'' -se badhke- mashke'' - sakina '' -nikal -le

                                                  (21)
‎  Ilahee - al - madad- hai -rasta -dushwaar pani - mein
'kadam -rakhta nahi hai -- fikr -ka rehwaar -pani -mein
'' jahan -har -misraa - aataa -hai -'' libaase - ''tashnagi - pehney''
' vahan -mumkin -nahi - sairabiye - ashaar - pani mein
  udhar '' saqqua-e  Ahlebait'' - mashkize- ko bharta tha
'idhar -peeti -thi - ''moujein'' - sharbate - ''deedar -pani -mein
  muqabil -sher - ke -aate -jo -pehredaar -pani mey
 ''to -hote -ek -ke -do ''aur -do -ke char '' - pani mey


                                            (22)
Jis Jis Ke Dil Ki Cha,th Pe Hai Abbas <A.s> Ka Alam
Uss Ko Bhala Kahan Khad,sha Hai Aanch Ka

Hai Zikar-E-Panjtan <A.s> Issi Panjay Ke Saye Mai
Inn Panch Ungalioun Pe Bharosa Hai Panch <5> Ka


                                           (23)
Naam Darpan Hai Mera Lekin Dharam Abbas(A.S) ka..
Her Ghari Rehta Hai Mujh Per Yun Karam Abbas(A.S) ka..
Moorti ki ab Jagah MaiN'ne, Saja kar Rakh Diya..
Choomta Hoon Subha Uthte He Alam Abbas(A.S) ka..
By : Darpan [Hindu Poet]


ANKHON SE JO GHAZI A.S KA ROZA NZR ATA HE

DILL SE JO MIEN DEKHON TO KAABA NZR ATA HE

MIEN MANTA HON YE RIZQ ALI A.S KA HE LEKIN

PANI TO MUJHE GHAZI A.S KI JAGEER NZR ATA HE



                                         (26)
Bey Aas Hoke jab mere ehsas aa gaye..
Kuch aashna sey naam mujhe raas aa gaye..
Maangi madad jo deke Sakina(S.A) ka wasta..
Pehle Ali(A.S) sey Hazrat-e-Abbas(A.S) aa gaye...!



                                             (27)
Koi Jo Mange "SAKINA" ka Wasta De Ker.
Tou Keasy Hoga k ABBAS" wo Ata Na Kry


                                         (28)
Abbas Ko Mansab Bakhshay Hain Shabbar,Shabbir Ki Madar Ny
Abbas Ki Khass Wafain Thi, Abbas Ka Khass Sila Rakha
Shabbir Se Ly Kar Khaliq Tak, Sab Ny Is Se Insaaf Kia
Abbas Pe Hee Pabandi Thi, Abbas Ka Hath Khula Rakha


                                            (29)
 Sach Ye Hai k Jis Baam Pe Ye Hath Gaya Hai
Lagta Hai k Us Chat Pe Hee Abbas Khara Hai
Ba'Hum Bata Rahay Hain Alam Or Zuljanah
Abbas Or Hussain Ka Sadiyon Ka Sath Hai
Jahan Jahan Lagay Huwe Hain Ye Panjay Isi Liye
Ghazi Ka Har Yazeed Ki Gardan Pe Hath Hai


                                        (30)

HAin Jo Alam MAi Hurf Suno Unka Ab BAyan
ABBAS KA HAi "AIN" Isi " AIN" Se Ayaan
HAi "LAAM" La'Fatah K Qaseeday Ka TArjumaan
Or "MEEM" Se Muraad Maseeha e do Jahan

Seedhi Si Hai Ye Baat Koi Phair Nahi Hai
ABBAS Mai Or ALAM Mai Kahin Zair Nahi HAi


                                         (31)
 Naam e Ali Se "AIN" Liya Or Likh Liya
Dekha Jo Abu Turaab Ko To "BAY" Is Se Mil Gaya

Aaya Nazar ASAD To Qalam Nay "ALIF" Liya
Or "SEEN" Barh Kar Saqi e Kousar Nay De Diya

Har Ek Hurf Zeenat e Qirtaas Ban Gaya
YakJa Kiya Jo Sab Ko To ABBAS Ban Gaya.


                                           (32)
Aaj Khatra Hai KahiN MushriK HeE Na Ho JaoN Mai
Mere IdraaK Mai Kab Naqsh e Wafa Aesa Tha
SagaR e ChashaM Bharega To Uthaunga NazaR
Dekhta Ye Hun k BachpaN Mai Khuda Kesa Tha


                                          (33)

Itni Bhar jaye In Aankho'n mein Zia e Abbas asw"
Mujh Koi Na Nazar Aaye,Siwaaye Abbas asw"


 MANGOO TU TALAB KAR K SAKHI SHAHNSHA E WAFA SE,
MAYOOS KOI NAI HOTA UN KI ATTA SE,
HOTA HAI APNA ELAJ NA DUA SE NA DAWA SE,
CHALTI HAIN YE SANSIEN TERY PARCHAM KI HAWA SE,


                                         (35)
GHAZI ABBAS ALAMDAR KE DIVANE HA,
HUM TU BAS AAP KE KIRDAR KE DEVANE HA
,BHAI HO KE BHI JO GHULAMI KA DAM BHARTE HAIN,
HUM ASAD AISE WAFADAR KE DIWANE HAIN


                                          (36)
"Alam Abbas (a.s) Ka Jis Din Se Rakha Hai Ghar Main
Khud Hi Karbala Se Hokay Hawa Aati Hai

Na Mumkin Hai Mujhe Chulay Koi Bemari
Maray Ghar Lay Ke Hawa "Khak-e-Shifa" Aati Hai.


                                         (37)
"Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.


                                           (38)
 Mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
Laao tou ata karnay main Abbas ka sani
Bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai....


                                      (39)
Jo nathiq e Qura'an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai


                                    (40)
Paiman-e-Anwar-e-Jali Bhej Raha Hun
Main Khud Hun Wali Or Wali Bhej Raha Hun
Tum Ne Mujhe Is Dor Ka Samjha Hay Muhammad(saww)
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hu


                                   (41)
"Jo Mushkil Talta Hai Usay Ali (as) Kehtay Hain,
Jo Qismat Banaaiy Usau Batool(sa) Kehtay Hain"
Muhammad(saww) Se Le
Kar Hassan(as) Tak
Sabhi Ne Hussain(as) Ko Chaha,
Lekin Jisay Hussain  Ne Chaha Usay Abbass(as) Kehtay Hain"


                                        (42)
*Lafz likhta hon to Ehsas likha jata hai ....,

Moaj likhta hon to piyas likha jata hai...,

Mere Jazbat se waqif hai Qalam bhi mera....,

Mae wafa likhta hoon.. ABBAS likha jata hai....,


                                          (44)
YE KOUN AAYA HY IS JAHA'N ME ALI a.s BHI KHUD MUSKURA RAHY HAIN-
IS BACHAY KO ALAM MILY GA ABHI SE TEWAR BATA RAHY HAIN-
HUSAIN a.s JAB BHI JHOOLAY ME SOEY JHULATAY JIBREEL a.s AA K JHOOLA-
YE KAUN JHOOLAY ME SO RAHY HAIN HUSAIN a.s JHOOLA JHOOLA RAHY HAIN---


Qlb e HAIDER se uthi ar arsh e azam pe gai
Surkhru ho ke jo palti wo dua ABBAS hai
Ye haqiqat h? k hai SHABBIR dil islam ka aur us dil ki dhrkan ki sda ABBAS hai


                                         (46)

ABBAS a.s KI CHAHAT KA YE AALAM HY JAHA'N ME

HAR SAANS PE LAGTA HY K NAYZAY KI ANI HY

DARYA ME UBHARTI HUI MOJO'N KO ZARA SUNN

YE MATAM E ABBAS a.s ME ZANJEER ZANI HY..


                                          (47)
Gazi ki shuja'at ka ye Unwaan bHi Hoga,
Mashkize me Darya Hy to tufan bHi Hoga,
ABBAS k parcham ki taraf gaur se Dekho,
Panja Hy to Bai'at ka Gireban bHi Hoga


                                       (48)
Wo Sher Karo Nazr Tamnna e ALI a.s Ko
Taskeen Mohaiyya Ho Dile Binte Nabi Ko
Zehra s.a. Ne kaha Hazrate Abbas a.s Ko Beta
Ya Yun Kahun Poora Kiya Mohsin a.s Ki Kami Ko


                                   (49)
Seene Me Jo Abbas a.s K Kadmo Ki Dhamak Hy
Haibat In Dhamak Ki Sir E Aarsh Talak Hy
Yeh Keh K Guzarta Hy Garajta Huwa Badal
Bijli Mere ABBAS a.s K Lehje Ki Kadak Hy

Tera Chullu Tha Kay Tha Koi Tamancha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Aaj Tak Nehar Ka Rukhsar Hai Nela ♥ ABBAS "a.s" ♥

Laakh Kerta Raha Dariya Tera Peacha ♥ ABBAS "a.s" ♥
Tuu Nay Tukhra Kay Palat Kay Bhi Na Dehkha ♥ ABBAS "a.s" ♥

Hain Tere Naam ay Duniya Mai Hazaroo Bachay
Tuu Bhi Zinda hai Tera Naam Bhi Zinda ♥ ABBAS ".a.s" ♥

Likh Kay Rakha Tha Jahan Lafz e Wafa Raat gaye
Subha Ko Uth Kay Jo Dehkha To Likha Tha ♥ ABBAS "a.s" ♥

Koi Milta Hai Wafaadaar To Aata Hai Khyal
Gir Gaya Hoga Kahe Tera Paseena ♥ ABBAS ".aS" ♥

♥ Asalaam o Aleka Ya Abul Fazal Abbas "a.s" ♥

Ali ( a.s ) ka ishq Aqal ki khirkiyon ko khol deta hai .
sadaf ke zahan may lafzon ke moti ghol deta hai .

Zuban e YA Ali ( a.s ) ko hi Lisanullah kehte hai,
Khuda jab bolna chahey to Ali ( a.s ) bol deta hai.


Ahle Hindu-istan bhi baghwan unko maante,
Kash Hindustan mein hota janam Abbas Ka.
Kehker bidath jab musalman chor dege Ya Hussain,
Hoker Hindu ham uthaeygay Alam Abbas ka.

Rahkht mein apne dooboker lehkani Abbas ney,
Vishv ke maathey per likhi shaanti Abbas nein.
Ek naya itihaas likha karbala ke prishth per,
teen din ki pyass mein senapathi Abbas nein

Gham-e-Hussain(A.S) Hamesha manaege Hindu,
Hussain (A.S) Pyase pe Aansu Bahaenge Hindu,
Hamari Najron mein Raavan se bhi Bura Tu hai,
Yazeed Lanati Tera bhi Putla jalayenge Hindu. - HINDU POET “KANAHIYA LAL”

Pehle to karbala ka hume raasta mila,
Wo raasta najaf ki galiyo se ja mila,
Kismat ka sara khel hai kb kisko kya mila,
Mushkil mili unhe hume Mushkilkusha mila.

Roya hai ise Zahra(S.A) ka Pisar(A.S), WAh Ri Qismat
Zano e Hussain aur woh Sar, WAh Ri Qismat
Tooba ke talae Khuld mein Ghar, WAh Ri Qismat
Dunya se Yeh Rahat ka Safar, WAh Ri Qismat

Kya jald gaya Soo e Irum, Dar e Fana se
Sookha Jo Pasina bhi tou Jannat ki Hawa se -"Mir Anees"

Shaan aehl e bazm ko batlaen hum ABBAS a.s ki
Loh e dil per baat ye kijiye raqam ABBAS a.s ki
Aj tak unkay jalaal o roub ka aalam ye ha
Koi kha sakta nahi jhooti qasam ABBAS a.s ki.
(Mir Razi Mir)

Islaam ke Bahar Hai Mataam Hussain Ka 
Zainab Ke Zulfiqar Hai Matam Hussain Ka
Uska Koi Yazeed L.A Say Rishtaa Zerur Hai 
Jiss Ko Bhe Na Ghawar Hai Matam Hussain Ka..

Ibadatun Ka Saleeka Nhi Khareed Saka 
Zamana Mera Aqeeda Nhi Khareed Saka
Ameer e Sham Ne Mufti Bouhat Khareedy thy 
Ali Ka Chahney Wala Nhi Khareed Saka
Har Zakham e La ilaaj Ka Nuskha Bana Diya 
Ashaq e Aza Ko Shah Ne Masiha Bana Diya 
Alh e Saqeffa Kitney Meharban Thy Sheikh Per 
Jab Kuch Na Ban Saka Tu Khelifa Bana Diya ...

ali akbar ki shan me shayri
Ajeeb Noor k Paikar Dikhai Deta hai,
Falak ke Chaand se Behtar Dikhai deta hai,
Khush Naseeb, ke Laila Tera Ali Akbar
Imam ko Bhi Paigamber Dikhai Deta hai.




ALI(a.s.) Ke Nokar

Baat karne ke liye jab bhi zabane khole Apne qirdaar ko meezan e amal par tole Laakh hum khud ko ghulam e dare haidar bole Baat jab hai ...